uTh kar chale hain aaj tere aastan se hum
uTh kar chale haiñ aaj tire āstāñ se ham
bezār ab haiñ bandagī-e-rā.egāñ se ham
ai dil har ek baat meñ be-rabtiyāñ haiñ kyoñ
kuchh mutma.in nahīñ haiñ tirī dāstāñ se ham
māyūs-kun hai manzil-e-ishq-e-butāñ kā shauq
aa pahuñche phir vahīñ ki chale the jahāñ se ham
dil ko to un ke lutf-o-karam ne miTā diyā
be-fā.eda ulajhte rahe āsmāñ se ham
apnī nigāh-e-shauq bhī ab tak hai be-ḳhabar
ai husn DhūñD kar tujhe laa.eñ kahāñ se ham
be-kaif thā fasāna-e-ulfat magar use
chamkā ga.e haiñ shoḳhī-e-tarz-e-bayāñ se ham
nākāmiyoñ ne gher liyā dam pe ban ga.ī
sab kuchh huā magar na dabe āsmāñ se ham
dushman bhī dekh kar hameñ hotā hai ashk-rez
ye faiz pā rahe haiñ kisī mehrbāñ se ham
'sāhir' qafas meñ ham ko ye azmat huī nasīb
baalā haiñ imtiyāz-e-bahār-o-ḳhizāñ se ham
uTh kar chale hain aaj tere aastan se hum
bezar ab hain bandagi-e-raegan se hum
ai dil har ek baat mein be-rabtiyan hain kyon
kuchh mutmain nahin hain teri dastan se hum
mayus-kun hai manzil-e-ishq-e-butan ka shauq
aa pahunche phir wahin ki chale the jahan se hum
dil ko to un ke lutf-o-karam ne miTa diya
be-faeda ulajhte rahe aasman se hum
apni nigah-e-shauq bhi ab tak hai be-KHabar
ai husn DhunD kar tujhe laen kahan se hum
be-kaif tha fasana-e-ulfat magar use
chamka gae hain shoKHi-e-tarz-e-bayan se hum
nakaamiyon ne gher liya dam pe ban gai
sab kuchh hua magar na dabe aasman se hum
dushman bhi dekh kar hamein hota hai ashk-rez
ye faiz pa rahe hain kisi mehrban se hum
'sahir' qafas mein hum ko ye azmat hui nasib
baala hain imtiyaz-e-bahaar-o-KHizan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.