uTh ke baiTha bhi nahin tha abhi bimari se
uTh ke baiThā bhī nahīñ thā abhī bīmārī se
vāsta aan paḌā be-dar-o-dīvārī se
varna kuchh bhī nahīñ maujūd kā manzar-nāma
ālam-e-ḳhvāb bhī hai ālam-e-bedārī se
shahr ke log ġhalat mujh ko samajhne lag jaa.eñ
merī takzīb kare aisī adākārī se
shahr meñ aur bhī hangāme haiñ barpā kyā kyā
kyoñ nikaltā hī nahīñ maiñ tirī bīmārī se
us kī duniyā se bahut duur nikal jaao 'hanīf'
is se pahle kī vo dekhe tumheñ be-zārī se
uTh ke baiTha bhi nahin tha abhi bimari se
wasta aan paDa be-dar-o-diwari se
warna kuchh bhi nahin maujud ka manzar-nama
aalam-e-KHwab bhi hai aalam-e-bedari se
shahr ke log ghalat mujh ko samajhne lag jaen
meri takzib kare aisi adakari se
shahr mein aur bhi hangame hain barpa kya kya
kyon nikalta hi nahin main teri bimari se
us ki duniya se bahut dur nikal jao 'hanif'
is se pahle ki wo dekhe tumhein be-zari se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.