Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uTha KHema yahan se kuch kar aahista aahista

Sana Gorakhpuri

uTha KHema yahan se kuch kar aahista aahista

Sana Gorakhpuri

MORE BYSana Gorakhpuri

    uThā ḳhema yahāñ se kuuch kar āhista āhista

    abhī to ḳhair mumkin hai safar āhista āhista

    darīchoñ abhī to raushnī galiyoñ meñ baaqī hai

    magar jab band ho jā.eñge dar āhista āhista

    bayābānoñ se nikle aur samundar tak chale aa.e

    ki ab karnā hai paanī safar āhista āhista

    idhar se qais kyā ek puurī qaum guzrī hai

    ye baiThegā ġhubār-e-rah-guzar āhista āhista

    yahāñ ik dūsre jaan ke dushman na ho jaa.eñ

    ye ham donoñ nikal aa.e kidhar āhista āhista

    abhī kuchh bastiyāñ ābād haiñ kuchh shahr baaqī haiñ

    abhī kuchh aur nikleñge khañDar āhista āhista

    dar-o-dīvār ke us paar ham-sāyoñ ko niiñd aa.ī

    shab-e-tanhā.ī mujh se baat kar āhista āhista

    abhī be-teġh bhī zinda huuñ lekin mere hāthoñ se

    'sanā' ab chhūT jā.egī sipar āhista āhista

    uTha KHema yahan se kuch kar aahista aahista

    abhi to KHair mumkin hai safar aahista aahista

    darichon ki abhi to raushni galiyon mein baqi hai

    magar jab band ho jaenge dar aahista aahista

    bayabanon se nikle aur samundar tak chale aae

    ki ab karna hai pani ka safar aahista aahista

    idhar se qais hi kya ek puri qaum guzri hai

    ye baiThega ghubar-e-rah-guzar aahista aahista

    yahan ek dusre ki jaan ke dushman na ho jaen

    ye hum donon nikal aae kidhar aahista aahista

    abhi kuchh bastiyan aabaad hain kuchh shahr baqi hain

    abhi kuchh aur niklenge khanDar aahista aahista

    dar-o-diwar ke us par ham-sayon ko nind aai

    shab-e-tanhai mujh se baat kar aahista aahista

    abhi be-tegh bhi zinda hun lekin mere hathon se

    'sana' ab chhuT jaegi sipar aahista aahista

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now