uTha late the kamre mein agar chaukhaT pe hoti thi
uThā laate the kamre meñ agar chaukhaT pe hotī thī
nigah phir se ba-andāz-e-digar chaukhaT pe hotī thī
ravāna karte the dar par gale mil mil ke rote the
kabhī taqrīb-e-āġhāz-e-safar chaukhaT pe hotī thī
hamārā chāñd gum hotā thā jab tārīk rāhoñ meñ
to sūraj le ke badle meñ sahar chaukhaT pe hotī thī
ajab be-ḳhvābī-o-betābi kā aalam sā rahtā thā
hamārī aañkh khultī thī nazar chaukhaT pe hotī thī
vo thī nārāz mujh se par maiñ jab ghar der se aatā
to vo nam-dīda-o-shorīda-sar chaukhaT pe hotī thī
uTha late the kamre mein agar chaukhaT pe hoti thi
nigah phir se ba-andaz-e-digar chaukhaT pe hoti thi
rawana karte the dar par gale mil mil ke rote the
kabhi taqrib-e-aghaz-e-safar chaukhaT pe hoti thi
hamara chand gum hota tha jab tarik rahon mein
to suraj le ke badle mein sahar chaukhaT pe hoti thi
ajab be-KHwabi-o-betabi ka aalam sa rahta tha
hamari aankh khulti thi nazar chaukhaT pe hoti thi
wo thi naraaz mujh se par main jab ghar der se aata
to wo nam-dida-o-shorida-sar chaukhaT pe hoti thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.