uTha le jaen gulshan se kidhar hum aashiyan apna
uTha le jaen gulshan se kidhar hum aashiyan apna
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
uThā le jaa.eñ gulshan se kidhar ham āshiyāñ apnā
huā hai ain fasl-e-gul meñ dushman bāġhbāñ apnā
koī shab aur vo rashk-e-qamar hai mehmāñ apnā
dikhā le chaar din kī chāñdnī ye bhī samāñ apnā
nahīñ haiñ kaun sī jā maut kī hasrat meñ sargardāñ
falak kartā hai va.ada dekhiye puurā kahāñ apnā
bure din meñ zamīñ kab paañv ke nīche Thahartī hai
kiyā karte haiñ shikva ham nahīñ hai āsmāñ apnā
chaman nāzāñ hai kyā apnī bahār-e-chand-roza par
liye jaatā hai dil shauq-e-bahār-e-jāvedāñ apnā
palak ko de ke jumbish phir ga.ī ham se jo aañkh un kī
havā par uḌ ga.ī kashtī uThā kar bādbāñ apnā
nahīñ hosh-o-ḳhirad kī barhamī saudā-e-gesū meñ
añdherī raat meñ ye luT rahā hai kārvāñ apnā
banāyā donoñ aalam se judā ik aur hī aalam
jo pūchhā be-ḳhudī se ek din nām-o-nishāñ apnā
samajh rakkho vahīñ vo ḳhud-numā bhī jalva-gar hogā
safā-e-dil dikhātī hogī ā.īna jahāñ apnā
halāvat se maze se lutf-o-shīrīnī se mamlū hai
zabāñ apnī suḳhan apnā kalām apnā bayāñ apnā
uTha le jaen gulshan se kidhar hum aashiyan apna
hua hai ain fasl-e-gul mein dushman baghban apna
koi shab aur wo rashk-e-qamar hai mehman apna
dikha le chaar din ki chandni ye bhi saman apna
nahin hain kaun si ja maut ki hasrat mein sargardan
falak karta hai wada dekhiye pura kahan apna
bure din mein zamin kab panw ke niche Thaharti hai
kiya karte hain shikwa hum nahin hai aasman apna
chaman nazan hai kya apni bahaar-e-chand-roza par
liye jata hai dil shauq-e-bahaar-e-jawedan apna
palak ko de ke jumbish phir gai hum se jo aankh un ki
hawa par uD gai kashti uTha kar baadban apna
nahin hosh-o-KHirad ki barhami sauda-e-gesu mein
andheri raat mein ye luT raha hai karwan apna
banaya donon aalam se juda ek aur hi aalam
jo puchha be-KHudi se ek din nam-o-nishan apna
samajh rakkho wahin wo KHud-numa bhi jalwa-gar hoga
safa-e-dil dikhati hogi aaina jahan apna
halawat se maze se lutf-o-shirini se mamlu hai
zaban apni suKHan apna kalam apna bayan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.