uTha lo ru-e-anwar se naqab aahista aahista
uThā lo rū-e-anvar se naqāb āhista āhista
ġhurūb hone lagegā āftāb āhista āhista
tire ruḳhsār kī surḳhī ko shāyad dekh paayā hai
uḌā jaatā hai jo rang-e-gulāb āhista āhista
kisī kī kam-sinī par mar-miTe haiñ chāhne vaale
abhī to rang lā.egā shabāb āhista āhista
rag-e-gardan pe ruk ruk kar chalā.eñ aap ḳhanjar ko
mazā lene deñ marne kā janāb āhista āhista
uTha lo ru-e-anwar se naqab aahista aahista
ghurub hone lagega aaftab aahista aahista
tere ruKHsar ki surKHi ko shayad dekh paya hai
uDa jata hai jo rang-e-gulab aahista aahista
kisi ki kam-sini par mar-miTe hain chahne wale
abhi to rang laega shabab aahista aahista
rag-e-gardan pe ruk ruk kar chalaen aap KHanjar ko
maza lene den marne ka janab aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.