uTha na parda-e-hairat ruKH-e-nihan se abhi
uThā na parda-e-hairat ruḳh-e-nihāñ se abhī
mire yaqīn ko fursat nahīñ gumāñ se abhī
na khol mujh pe pur-asrār zulmatoñ ke tilism
bahal rahī hai nazar māh-o-kahkashāñ se abhī
sunā na zamzama-e-rūh-e-kā.enāt mujhe
ki aa rahī hai sadā mere sāz-e-jāñ se abhī
abhī se de na mujhe manzil-e-adam kā surāġh
guzar rahā huuñ maiñ hastī ke imtihāñ se abhī
dikhā na ḳhvāb kisī ālam-e-digar ke mujhe
ki merā dil nahīñ fāriġh isī jahāñ se abhī
na kar haqīqat-e-hastī se āshnā mujh ko
ki rabt hai mujhe is vahm-e-rā.egāñ se abhī
banā rahā huuñ zamīñ par sanam-kade apne
sadā.eñ de na mujhe bām-e-āsmāñ se abhī
maqām-e-hosh bhī merī nazar meñ hai lekin
subū hai pur mirā sahbā-e-arġhavāñ se abhī
bhaḌak rahā hai abhī sho.ala-e-nafas merā
lapak rahe haiñ sharāre mirī zabāñ se abhī
hai zarra zarra tapāñ dasht-e-ārzū kā mire
uTheñge aur bagūle bahut yahāñ se abhī
fanā qubūl ho kyūñkar mujhe ki rishta-e-dil
bañdhā huā hai tamannā-e-jāvidāñ se abhī
uTha na parda-e-hairat ruKH-e-nihan se abhi
mere yaqin ko fursat nahin guman se abhi
na khol mujh pe pur-asrar zulmaton ke tilism
bahal rahi hai nazar mah-o-kahkashan se abhi
suna na zamzama-e-ruh-e-kaenat mujhe
ki aa rahi hai sada mere saz-e-jaan se abhi
abhi se de na mujhe manzil-e-adam ka suragh
guzar raha hun main hasti ke imtihan se abhi
dikha na KHwab kisi aalam-e-digar ke mujhe
ki mera dil nahin farigh isi jahan se abhi
na kar haqiqat-e-hasti se aashna mujh ko
ki rabt hai mujhe is wahm-e-raegan se abhi
bana raha hun zamin par sanam-kade apne
sadaen de na mujhe baam-e-asman se abhi
maqam-e-hosh bhi meri nazar mein hai lekin
subu hai pur mera sahba-e-arghawan se abhi
bhaDak raha hai abhi shoala-e-nafas mera
lapak rahe hain sharare meri zaban se abhi
hai zarra zarra tapan dasht-e-arzu ka mere
uThenge aur bagule bahut yahan se abhi
fana qubul ho kyunkar mujhe ki rishta-e-dil
bandha hua hai tamanna-e-jawidan se abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.