uTha rahe ho jo yun apne aastan se mujhe
uThā rahe ho jo yuuñ apne āstāñ se mujhe
nikāl kyuuñ nahīñ dete ho dāstāñ se mujhe
ḳhabar nahīñ hai ki maiñ kis ghaḌī chalā jā.ūñ
sadā.eñ aane lagīñ ab to āsmāñ se mujhe
ye jāntā hī nahīñ huuñ kahāñ maiñ bhuul aayā
vo ek raaz jo kahnā thā rāz-dāñ se mujhe
nikāl saktā nahīñ huuñ maiñ dil se hubb-e-husain
virāsatoñ meñ milī jo ki apnī maañ se mujhe
maiñ jāntā huuñ agar aaj tum gañvā doge
talāsh karnā hai kal tum ne phir yahāñ se mujhe
jo zaḳhm zaḳhm huuñ ta.anoñ ke tiir khā khā ke
to maar kyuuñ nahīñ dete ho ab ke jaañ se mujhe
guzar gayā hai jo lamha vo phir nahīñ aayā
milā hai dars yahī umr-e-rā.egāñ se mujhe
pahuñch to jā.ūñgā maiñ bhī yaqīñ ke sāhil par
nikāle koī to 'arshad' par is gumāñ se mujhe
uTha rahe ho jo yun apne aastan se mujhe
nikal kyun nahin dete ho dastan se mujhe
KHabar nahin hai ki main kis ghaDi chala jaun
sadaen aane lagin ab to aasman se mujhe
ye jaanta hi nahin hun kahan main bhul aaya
wo ek raaz jo kahna tha raaz-dan se mujhe
nikal sakta nahin hun main dil se hubb-e-husain
wirasaton mein mili jo ki apni man se mujhe
main jaanta hun agar aaj tum ganwa doge
talash karna hai kal tum ne phir yahan se mujhe
jo zaKHm zaKHm hun tanon ke tir kha kha ke
to mar kyun nahin dete ho ab ke jaan se mujhe
guzar gaya hai jo lamha wo phir nahin aaya
mila hai dars yahi umr-e-raegan se mujhe
pahunch to jaunga main bhi yaqin ke sahil par
nikale koi to 'arshad' par is guman se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.