uThaenge koi taza qayamat tan ke baiThe hain
uThā.eñge koī taaza qayāmat tan ke baiThe haiñ
bigāḌeñge hazāroñ ghar ki vo ban-Than ke baiThe haiñ
hamāre qatl se nāhaq haiñ nādim apne ghar jaa.eñ
jhukā.e sar abas ab sāmne madfan ke baiThe haiñ
uThāyā hijr meñ tūfān kyā kyā chashm-e-giryāñ ne
ye dekho bām-o-dar kaise mire maskan ke baiThe haiñ
qasam khaa.ī thī milne kī adū ke kuchh to sharmāo
ye tum baiThe ho yā pahlū meñ ham dushman ke baiThe haiñ
nikalne hī nahīñ dete haiñ kāñTe dasht-e-vahshat se
pakaḌne vaale har jānib mire dāman ke baiThe haiñ
uThaenge koi taza qayamat tan ke baiThe hain
bigaDenge hazaron ghar ki wo ban-Than ke baiThe hain
hamare qatl se nahaq hain nadim apne ghar jaen
jhukae sar abas ab samne madfan ke baiThe hain
uThaya hijr mein tufan kya kya chashm-e-giryan ne
ye dekho baam-o-dar kaise mere maskan ke baiThe hain
qasam khai thi milne ki adu ke kuchh to sharmao
ye tum baiThe ho ya pahlu mein hum dushman ke baiThe hain
nikalne hi nahin dete hain kanTe dasht-e-wahshat se
pakaDne wale har jaanib mere daman ke baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.