uThain hijr ki shab dil ne aafaten kya kya
uThā.īñ hijr kī shab dil ne āfateñ kyā kyā
umīd-e-vasl meñ jhelīñ musībateñ kyā kyā
vahī hai jaam vahī mai vahī subū lekin
badal ga.ī haiñ zamāne kī niyyateñ kyā kyā
dabī zabān se karte haiñ ġhair dar-parda
tumhāre muñh pe tumhārī shikāyateñ kyā kyā
sitam meñ lutf, jafā meñ adā nigāh meñ naaz
itaab meñ bhī haiñ pinhāñ ināyateñ kyā kyā
karūñ maiñ un kī shikāyat 'azīz' jhuuT ġhalat
gaḌhī haiñ dil se raqīboñ ne tohmateñ kyā kyā
uThain hijr ki shab dil ne aafaten kya kya
umid-e-wasl mein jhelin musibaten kya kya
wahi hai jam wahi mai wahi subu lekin
badal gai hain zamane ki niyyaten kya kya
dabi zaban se karte hain ghair dar-parda
tumhaare munh pe tumhaari shikayaten kya kya
sitam mein lutf, jafa mein ada nigah mein naz
itab mein bhi hain pinhan inayaten kya kya
karun main un ki shikayat 'aziz' jhuT ghalat
gaDhi hain dil se raqibon ne tohmaten kya kya
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 263)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.