uThane ko to uTha raha hun na uTThe jo bar-e-gham kisi se
uThane ko to uTha raha hun na uTThe jo bar-e-gham kisi se
Shariq Merthi
MORE BYShariq Merthi
uThāne ko to uThā rahā huuñ na uTThe jo bār-e-ġham kisī se
nazākat-e-dil kā hai ye aalam ki choT lag jaatī hai hañsī se
koī ye soche vo kyā karegā tabāhiyoñ kā gila kisī se
jo un ke har zulm-e-nā-ravā ko aziiz rakhtā hai zindagī se
jo mujh se merā sukūn le le sukūn le kar azaab de de
vo āgahī koī āgahī hai maiñ baaz aayā us āgahī se
hazār chāhe zamāna lekin ye dard-o-ālām ke añdhere
agar hue duur to ye hoñge faqat mohabbat kī raushnī se
kisī kī mahfil se uTh to aa.e magar ye hai apnā haal 'shāriq'
kisī añdhere meñ aa ga.e hoñ guzar ke ham jaise raushnī se
uThane ko to uTha raha hun na uTThe jo bar-e-gham kisi se
nazakat-e-dil ka hai ye aalam ki choT lag jati hai hansi se
koi ye soche wo kya karega tabahiyon ka gila kisi se
jo un ke har zulm-e-na-rawa ko aziz rakhta hai zindagi se
jo mujh se mera sukun le le sukun le kar azab de de
wo aagahi koi aagahi hai main baz aaya us aagahi se
hazar chahe zamana lekin ye dard-o-alam ke andhere
agar hue dur to ye honge faqat mohabbat ki raushni se
kisi ki mahfil se uTh to aae magar ye hai apna haal 'shaariq'
kisi andhere mein aa gae hon guzar ke hum jaise raushni se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.