uThao jam uThao ki raat baqi hai
uThāo jaam uThāo ki raat baaqī hai
uḌaao kaag uḌaao kī raat baaqī hai
mileñ mileñ na mileñ phir ye fursateñ saaqī
pilāo aur pilāo ki raat baaqī hai
abhī to aa.ī hai baazī junūñ ke hāthoñ meñ
abhī na hosh meñ aao ki raat baaqī hai
abhī nasīb ne āñkheñ zarā sī kholī haiñ
nasīb aur jagāo ki raat baaqī hai
abhī to kahne do afsāna uljhī sāñsoñ ko
abhī zabāñ na hilāo ki raat baaqī hai
abhī kalī hī khilī hai kalī kalī na rahe
kalī ko phuul banāo ki raat baaqī hai
sahar to duur hai 'tālib' abhī se kyoñ chup ho
ġhazal ik aur sunāo ki raat baaqī hai
uThao jam uThao ki raat baqi hai
uDao kag uDao ki raat baqi hai
milen milen na milen phir ye fursaten saqi
pilao aur pilao ki raat baqi hai
abhi to aai hai bazi junun ke hathon mein
abhi na hosh mein aao ki raat baqi hai
abhi nasib ne aankhen zara si kholi hain
nasib aur jagao ki raat baqi hai
abhi to kahne do afsana uljhi sanson ko
abhi zaban na hilao ki raat baqi hai
abhi kali hi khili hai kali kali na rahe
kali ko phul banao ki raat baqi hai
sahar to dur hai 'talib' abhi se kyon chup ho
ghazal ek aur sunao ki raat baqi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.