uThaya hai abhi tak maine lutf-e-zindagi aadha
uThaya hai abhi tak maine lutf-e-zindagi aadha
Wahid Ansari Burhanpur
MORE BYWahid Ansari Burhanpur
uThāyā hai abhī tak maiñ ne lutf-e-zindagī aadhā
javānī hai abhī aadhī buḌhāpā hai abhī aadhā
muamma hai vo jis ke ġham meñ merā haal patlā hai
nazar ke sāmne aatā hai zālim har ghaḌī aadhā
kabhī to harkatoñ se half mind vo lage mujh ko
kabhī to apnī bātoñ se lage hai falsafī aadhā
phire jo dum pakaḌ kar shā.iroñ kī is zamāne meñ
yaqīñ maano banegā shāi.r-e-āzam vahī aadhā
ishā paḌh kar cinema dekhne jaatā hai jo laḌkā
baḌā ho kar banegā dekhnā vo maulvī aadhā
mile ho tum bhī 'vāhid' se kaho kaisā lagā tum ko
mujhe to shakl-o-sūrat se lagā vo aadmī aadhā
uThaya hai abhi tak main ne lutf-e-zindagi aadha
jawani hai abhi aadhi buDhapa hai abhi aadha
muamma hai wo jis ke gham mein mera haal patla hai
nazar ke samne aata hai zalim har ghaDi aadha
kabhi to harkaton se half mind wo lage mujh ko
kabhi to apni baaton se lage hai falsafi aadha
phire jo dum pakaD kar shairon ki is zamane mein
yaqin mano banega shair-e-azam wahi aadha
isha paDh kar cinema dekhne jata hai jo laDka
baDa ho kar banega dekhna wo maulwi aadha
mile ho tum bhi 'wahid' se kaho kaisa laga tum ko
mujhe to shakl-o-surat se laga wo aadmi aadha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.