uThe hain hath dua ke us aadmi ke liye
uThe hain hath dua ke us aadmi ke liye
Rangeshwar Dayal Saxena Sufi
MORE BYRangeshwar Dayal Saxena Sufi
uThe haiñ haath duā ke us aadmī ke liye
jo kaam kartā hai duniyā kī behtarī ke liye
ilaaj kyā agar is par bhī Thokareñ khā.eñ
milā zamīr hai insāñ ko raushnī ke liye
khilā.e phuul ka.ī phal kiye kahīñ paidā
hazār ne.amateñ paidā kiiñ aadmī ke liye
na.ī hayāt kā paiġhām detī hai jab maut
to jaan kis liye de koī zindagī ke liye
ḳhushī ke maare na bachte agar na hotā ġham
sahārā ġham kā zarūrī hai zindagī ke liye
jahāñ meñ koī nahīñ ġham se jo nahīñ vāqif
kisī ko ġham hai koī ġham koī kisī ke liye
qadam qadam pe yahāñ ehtiyāt lāzim hai
maqām-e-aish jahāñ kab hai aadmī ke liye
rah-e-adam hai yahāñ sar jhukā ke chal 'sūfī'
ye rahguzar hai ḳhatarnāk ḳhud-sarī ke liye
uThe hain hath dua ke us aadmi ke liye
jo kaam karta hai duniya ki behtari ke liye
ilaj kya agar is par bhi Thokaren khaen
mila zamir hai insan ko raushni ke liye
khilae phul kai phal kiye kahin paida
hazar neamaten paida kin aadmi ke liye
nai hayat ka paigham deti hai jab maut
to jaan kis liye de koi zindagi ke liye
KHushi ke mare na bachte agar na hota gham
sahaara gham ka zaruri hai zindagi ke liye
jahan mein koi nahin gham se jo nahin waqif
kisi ko gham hai koi gham koi kisi ke liye
qadam qadam pe yahan ehtiyat lazim hai
maqam-e-aish jahan kab hai aadmi ke liye
rah-e-adam hai yahan sar jhuka ke chal 'sufi'
ye rahguzar hai KHatarnak KHud-sari ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.