uThe nigah wo manzar bana rahe hain log
uThe nigāh vo manzar banā rahe haiñ log
na.ī zamīñ pe na.e ghar banā rahe haiñ log
ye kis umiid pe shīsha-garoñ kī bastī meñ
mire vajūd ko patthar banā rahe haiñ log
batāo phir koī is tishnagī ko pūchhegā
jab apnā apnā samundar banā rahe haiñ log
ḳhushī se phuul ga.e haath paañv ye sun kar
mujhe hī ḳhair se rahbar banā rahe haiñ log
kahīñ havā ko bhī jhaḌ-beriyoñ ne gherā hai
ḳhud apne paañv kā chakkar banā rahe haiñ log
vo merī teġh-e-ḳhamoshī se bach nahīñ sakte
jo ham-zabānoñ kā lashkar banā rahe haiñ log
uThe nigah wo manzar bana rahe hain log
nai zamin pe nae ghar bana rahe hain log
ye kis umid pe shisha-garon ki basti mein
mere wajud ko patthar bana rahe hain log
batao phir koi is tishnagi ko puchhega
jab apna apna samundar bana rahe hain log
KHushi se phul gae hath panw ye sun kar
mujhe hi KHair se rahbar bana rahe hain log
kahin hawa ko bhi jhaD-beriyon ne ghera hai
KHud apne panw ka chakkar bana rahe hain log
wo meri tegh-e-KHamoshi se bach nahin sakte
jo ham-zabanon ka lashkar bana rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.