uThi wo ghaTa rang-samaniyan kar
uThī vo ghaTā rang-sāmāniyāñ kar
guhar-pāshiyāñ kar zar-afshāniyāñ kar
surāhī jhukā aur dhūmeñ machā de
gulābī uThā aur gul-afshāniyāñ kar
miTā dāġh-e-hosh aur mad.hosh ban jā
uThā jām-e-zar aur sultāniyāñ kar
nigāhoñ se barsā de abr-e-javānī
mai-e-lāla-gūñ se gulistāniyāñ kar
samundar pe chal aur ilyās ban jā
havāoñ pe uḌ aur sulemāniyāñ kar
sukūñ paañv chūme vo halchal machā de
ḳhirad sar jhukā de vo nādāniyāñ kar
alam khol kar 'josh' bad-mastiyoñ ke
jahāñ-dāriyāñ kar jahāñ-bāniyāñ kar
uThi wo ghaTa rang-samaniyan kar
guhar-pashiyan kar zar-afshaniyan kar
surahi jhuka aur dhumen macha de
gulabi uTha aur gul-afshaniyan kar
miTa dagh-e-hosh aur madhosh ban ja
uTha jam-e-zar aur sultaniyan kar
nigahon se barsa de abr-e-jawani
mai-e-lala-gun se gulistaniyan kar
samundar pe chal aur ilyas ban ja
hawaon pe uD aur sulemaniyan kar
sukun panw chume wo halchal macha de
KHirad sar jhuka de wo nadaniyan kar
alam khol kar 'josh' bad-mastiyon ke
jahan-dariyan kar jahan-baniyan kar
- Book : غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 224)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2018)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.