uTho yahan se kahin aur ja ke so jao
uTho yahāñ se kahīñ aur jā ke so jaao
yahāñ ke shor se bhāgo kahīñ bhī kho jaao
lahū lahū na karo zindagī ke chehre ko
sitamgaroñ kī navāzish se duur ho jaao
kahāñ phiroge ġhubār-e-safar ko saath liye
matā-e-dard ko dāman meñ le ke so jaao
karam kī bhiik kahāñ qātiloñ kī bastī meñ
badan kā ḳhol uThāo lahad meñ so jaao
ye sāya-dār shajar to fareb dete haiñ
ḳhizāñ ke saath raho āñdhiyoñ ke ho jaao
ye zindagī to fareboñ kā aa.ina Thahrī
ab apnī khoj meñ bhaTko farār ho jaao
uTho yahan se kahin aur ja ke so jao
yahan ke shor se bhago kahin bhi kho jao
lahu lahu na karo zindagi ke chehre ko
sitamgaron ki nawazish se dur ho jao
kahan phiroge ghubar-e-safar ko sath liye
mata-e-dard ko daman mein le ke so jao
karam ki bhik kahan qatilon ki basti mein
badan ka KHol uThao lahad mein so jao
ye saya-dar shajar to fareb dete hain
KHizan ke sath raho aandhiyon ke ho jao
ye zindagi to farebon ka aaina Thahri
ab apni khoj mein bhaTko farar ho jao
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 571)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.