uThte hain qadam tez hawa hai mere pichhe
uThte haiñ qadam tez havā hai mire pīchhe
lagtā hai koī qāfila sā hai mire pīchhe
jis bazm meñ jaatā huuñ mujhe miltī hai izzat
vo yuuñ ki mirī maañ kī duā hai mire pīchhe
be-manzil-e-maqsud maiñ ġhaltāñ huuñ safar meñ
afsos zamāne tū chalā hai mire pīchhe
muḌnā hai mujhe moḌ mohabbat ke nagar ko
gaañv kī mire āb-o-havā hai mire pīchhe
ye dhuup hai jo sar ko mire Dhāñp rahī hai
ye saaya mirā hai ki chhupā hai mire pīchhe
kahtā hai mujhe aap se aage nahīñ chalnā
us taur zamāna ye paḌā hai mire pīchhe
uThte hain qadam tez hawa hai mere pichhe
lagta hai koi qafila sa hai mere pichhe
jis bazm mein jata hun mujhe milti hai izzat
wo yun ki meri man ki dua hai mere pichhe
be-manzil-e-maqsud main ghaltan hun safar mein
afsos zamane tu chala hai mere pichhe
muDna hai mujhe moD mohabbat ke nagar ko
ganw ki mere aab-o-hawa hai mere pichhe
ye dhup hai jo sar ko mere Dhanp rahi hai
ye saya mera hai ki chhupa hai mere pichhe
kahta hai mujhe aap se aage nahin chalna
us taur zamana ye paDa hai mere pichhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.