utna nazdik hua jitna use dur kiya
utnā nazdīk huā jitnā use duur kiyā
phir usī shaḳhs kī nafrat mujhe mash.hūr kiyā
rat-jagā chhoḌ maiñ is shart pe ab soyā thā
niiñd ke saath tirā ḳhvāb bhī manzūr kiyā
ḳhāmushī sabr kī hiddat se pighal saktī thī
terī chaupāl ke ādāb ne majbūr kiyā
tishnagī aur baḌhī jism ko jab Dhāñpā gayā
aañkh ne vaqt kī tamsīl ko maḳhmūr kiyā
mujh makāñ-dār ko dar-pesh thā manzil kā sukūñ
merī hijrat ne tirā rāsta maḳhtūr kiyā
utna nazdik hua jitna use dur kiya
phir usi shaKHs ki nafrat mujhe mashhur kiya
rat-jaga chhoD main is shart pe ab soya tha
nind ke sath tera KHwab bhi manzur kiya
KHamushi sabr ki hiddat se pighal sakti thi
teri chaupal ke aadab ne majbur kiya
tishnagi aur baDhi jism ko jab Dhanpa gaya
aankh ne waqt ki tamsil ko maKHmur kiya
mujh makan-dar ko dar-pesh tha manzil ka sukun
meri hijrat ne tera rasta maKHtur kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.