utne hi aasan kar leta hai gham ke marhale
utne hī āsān kar letā hai ġham ke marhale
jis kā jitnā azm-o-himmat jis ke jitne hausle
haa.e fitrat ke bhī kitne saḳht-tar haiñ faisle
phuul jaisī ḳhūbsūrat chiiz kāñToñ meñ pale
manzil-e-dāmāñ tak un kī koī pahuñchā hī nahīñ
muddatoñ se go ravāñ haiñ āñsuoñ ke qāfile
saḳhtiyoñ ne kar diyā hai mujh ko manzil se qarīb
raah kī dushvāriyoñ se baḌh ga.e haiñ hausle
ham taraste hī rahe phir bhī ujāle ke liye
chāñd ubhre saikḌoñ aur saikḌoñ sūraj Dhale
kuchh sunānā chāhte the ham bhī tujh ko hāl-e-dil
kuchh tirī nazroñ ne bhī baḳhshe haiñ dil ko hausle
kyoñ mohabbat hī pe paḌtī hai nazar har ek kī
aur bhī to haiñ 'ḳhalish' duniyā meñ lākhoñ mashġhale
utne hi aasan kar leta hai gham ke marhale
jis ka jitna azm-o-himmat jis ke jitne hausle
hae fitrat ke bhi kitne saKHt-tar hain faisle
phul jaisi KHubsurat chiz kanTon mein pale
manzil-e-daman tak un ki koi pahuncha hi nahin
muddaton se go rawan hain aansuon ke qafile
saKHtiyon ne kar diya hai mujh ko manzil se qarib
rah ki dushwariyon se baDh gae hain hausle
hum taraste hi rahe phir bhi ujale ke liye
chand ubhre saikDon aur saikDon suraj Dhale
kuchh sunana chahte the hum bhi tujh ko haal-e-dil
kuchh teri nazron ne bhi baKHshe hain dil ko hausle
kyon mohabbat hi pe paDti hai nazar har ek ki
aur bhi to hain 'KHalish' duniya mein lakhon mashghale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.