Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

utra hai aasman se farishta zamin par

Heera Lal Yadav

utra hai aasman se farishta zamin par

Heera Lal Yadav

MORE BYHeera Lal Yadav

    utrā hai āsmāñ se farishta zamīn par

    bikhrā hai us ke nuur jalva zamīn par

    khāte phireñge aap bhī dhoka zamīn par

    dekheñ na āsmān sapnā zamīn par

    miltā jo sab ko ek mauqa zamīn par

    sotā na koī aadmī bhūkā zamīn par

    dekho jahāñ vahīñ pe hai mela zamīn par

    phir bhī har ek shaḳhs hai tanhā zamīn par

    karnā hogā utnā basar har kisī ko yaañ

    jitnā bhī vaqt rab ne hai likkhā zamīn par

    ābād har tarah se raheñ hai du'ā yahī

    jin se juḌā hai pyaar rishta zamīn par

    ab to rihā.ī de de ġham-e-zindagī ki maiñ

    uktā chukā huuñ ban ke tamāsha zamīn par

    mehmān chand roz ke sab log haiñ yahāñ

    qaa.em nahīñ hai koī bhī banda zamīn par

    utra hai aasman se farishta zamin par

    bikhra hai us ke nur ka jalwa zamin par

    khate phirenge aap bhi dhoka zamin par

    dekhen na aasman ka sapna zamin par

    milta jo sab ko ek sa mauqa zamin par

    sota na koi aadmi bhuka zamin par

    dekho jahan wahin pe hai mela zamin par

    phir bhi har ek shaKHs hai tanha zamin par

    karna hi hoga utna basar har kisi ko yan

    jitna bhi waqt rab ne hai likkha zamin par

    aabaad har tarah se rahen hai du'a yahi

    jin se juDa hai pyar ka rishta zamin par

    ab to rihai de de gham-e-zindagi ki main

    ukta chuka hun ban ke tamasha zamin par

    mehman chand roz ke sab log hain yahan

    qaem nahin hai koi bhi banda zamin par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now