utra hai aasman se farishta zamin par
utrā hai āsmāñ se farishta zamīn par
bikhrā hai us ke nuur kā jalva zamīn par
khāte phireñge aap bhī dhoka zamīn par
dekheñ na āsmān kā sapnā zamīn par
miltā jo sab ko ek sā mauqa zamīn par
sotā na koī aadmī bhūkā zamīn par
dekho jahāñ vahīñ pe hai mela zamīn par
phir bhī har ek shaḳhs hai tanhā zamīn par
ābād har tarah se raheñ hai du'ā yahī
jin se juḌā hai pyaar kā rishta zamīn par
ab to rihā.ī de de ġham-e-zindagī ki maiñ
uktā chukā huuñ ban ke tamāsha zamīn par
mehmān chand roz ke sab log haiñ yahāñ
qaa.em nahīñ hai koī bhī banda zamīn par
utra hai aasman se farishta zamin par
bikhra hai us ke nur ka jalwa zamin par
khate phirenge aap bhi dhoka zamin par
dekhen na aasman ka sapna zamin par
milta jo sab ko ek sa mauqa zamin par
sota na koi aadmi bhuka zamin par
dekho jahan wahin pe hai mela zamin par
phir bhi har ek shaKHs hai tanha zamin par
aabaad har tarah se rahen hai du'a yahi
jin se juDa hai pyar ka rishta zamin par
ab to rihai de de gham-e-zindagi ki main
ukta chuka hun ban ke tamasha zamin par
mehman chand roz ke sab log hain yahan
qaem nahin hai koi bhi banda zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.