utri hain dar-o-baam se aksar teri yaaden
utrī haiñ dar-o-bām se aksar tirī yādeñ
aatī haiñ darīchoñ se bhī chhan kar tirī yādeñ
karne nahīñ detī haiñ koī kaam kisī taur
maflūj mujhe rakhtī haiñ din bhar tirī yādeñ
shādāb hī rahtā hai sadā zaḳhmoñ se tere
hone na deñ dil ko kabhī banjar tirī yādeñ
mujh ko to kabhī chhoḌ ke jaatī hī nahīñ haiñ
tujh se to ka.ī darja haiñ behtar tirī yādeñ
āvāz chhanāke kī maiñ suntī huuñ hamesha
ā.īna hai dil merā to patthar tirī yādeñ
āñkhoñ se ubal paḌtī haiñ maiñ rokūñ to kaise
kuuza mirā dil hai to samundar tirī yādeñ
'farzāna' bhalā ḳhud ko bachā.e bhī to kaise
andar tirī yādeñ haiñ to bāhar tirī yādeñ
utri hain dar-o-baam se aksar teri yaaden
aati hain darichon se bhi chhan kar teri yaaden
karne nahin deti hain koi kaam kisi taur
mafluj mujhe rakhti hain din bhar teri yaaden
shadab hi rahta hai sada zaKHmon se tere
hone na den dil ko kabhi banjar teri yaaden
mujh ko to kabhi chhoD ke jati hi nahin hain
tujh se to kai darja hain behtar teri yaaden
aawaz chhanake ki main sunti hun hamesha
aaina hai dil mera to patthar teri yaaden
aankhon se ubal paDti hain main rokun to kaise
kuza mera dil hai to samundar teri yaaden
'farzana' bhala KHud ko bachae bhi to kaise
andar teri yaaden hain to bahar teri yaaden
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.