uTThe jis bazm se tum gham ka saman chhoD aae
Interesting Fact
Dedicated to Nafees
uTThe jis bazm se tum ġham kā samāñ chhoḌ aa.e
diye mahfil se uThā laa.e dhuāñ chhoḌ aa.e
ek TuuTā huā be-kār safīna ham haiñ
hameñ ab sail-e-balā chāhe jahāñ chhoḌ aa.e
aaj sar phūTegā ro.egī na dīvār terī
shahr se duur hameñ ahl-e-jahāñ chhoḌ aa.e
hañs ke jī-bhar ke zamāne ki junūñ haar gayā
nāsehā ḳhush ho ki ham kū-e-butāñ chhoḌ aa.e
mere hāthoñ kī lakīreñ thiiñ vo rāheñ ai dost
mere hāthoñ ko tire haath jahāñ chhoḌ aa.e
na chalā ba.ad hamāre koī rāh-e-ġham meñ
jise har-gām pe ik sañg-e-girāñ chhoḌ aa.e
din bahāroñ ke palaT aa.e 'musavvir' lekin
jaane us jān-e-bahārāñ ko kahāñ chhoḌ aa.e
uTThe jis bazm se tum gham ka saman chhoD aae
diye mahfil se uTha lae dhuan chhoD aae
ek TuTa hua be-kar safina hum hain
hamein ab sail-e-bala chahe jahan chhoD aae
aaj sar phuTega roegi na diwar teri
shahr se dur hamein ahl-e-jahan chhoD aae
hans ke ji-bhar ke zamane ki junun haar gaya
naseha KHush ho ki hum ku-e-butan chhoD aae
mere hathon ki lakiren thin wo rahen ai dost
mere hathon ko tere hath jahan chhoD aae
na chala baad hamare koi rah-e-gham mein
jise har-gam pe ek sang-e-giran chhoD aae
din bahaaron ke palaT aae 'musawwir' lekin
jaane us jaan-e-bahaaran ko kahan chhoD aae
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 16)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.