uTThe na dhuan aisi faza kis ne hamein di
uTThe na dhuāñ aisī fazā kis ne hameñ dī
is tarah sulagne kī sazā kis ne hameñ dī
ik ahd yahāñ paañv kī miTTī meñ dabā hai
angāroñ pe chalne kī adā kis ne hameñ dī
ham apne samundar ke havādis meñ ghire haiñ
tūfān meñ sāhil se sadā kis ne hameñ dī
ham log to āzād fazāoñ meñ pale haiñ
phir qaid meñ rahne kī sazā kis ne hameñ dī
taslīm ki ye vaqt ujāloñ kā hai lekin
nādīda añdheroñ kī qabā kis ne hameñ dī
majbūr bhaḌakne pe charāġhoñ kī tarah haiñ
ab kis se kaheñ aisī havā kis ne hameñ dī
uTThe na dhuan aisi faza kis ne hamein di
is tarah sulagne ki saza kis ne hamein di
ek ahd yahan panw ki miTTi mein daba hai
angaron pe chalne ki ada kis ne hamein di
hum apne samundar ke hawadis mein ghire hain
tufan mein sahil se sada kis ne hamein di
hum log to aazad fazaon mein pale hain
phir qaid mein rahne ki saza kis ne hamein di
taslim ki ye waqt ujalon ka hai lekin
nadida andheron ki qaba kis ne hamein di
majbur bhaDakne pe charaghon ki tarah hain
ab kis se kahen aisi hawa kis ne hamein di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.