uTThe to the arbab-e-sitam soch-samajh ke
uTThe to the arbāb-e-sitam soch-samajh ke
sab mil ga.e miTTī meñ bharam soch-samajh ke
har chand hai kāñToñ se bharī raah hamārī
ham ne bhī uThā.e haiñ qadam soch-samajh ke
ye shai dil-e-ḳhuddār kī Thukrā.ī huī hai
is samt uThe chashm-e-karam soch-samajh ke
ab larza-bar-andām hai kyoñ vahshat-e-qātil
karnā thā mire sar ko qalam soch-samajh ke
miTtā hai kahīñ naqsh-e-rifāqat dil-e-nādāñ
khā tark-e-ta'alluq kī qasam soch-samajh ke
is 'ahd-e-riyā-kār se allāh bachā.e
ab ḳhud se bhī milte haiñ to ham soch-samajh ke
uThtā hai agar dard nikal paḌtī haiñ chīḳheñ
karte nahīñ iz.hār-e-alam soch-samajh ke
har chand ki dīvāna sā lagtā hai 'azīz' ik
kartā hai magar she'r raqam soch-samajh ke
uTThe to the arbab-e-sitam soch-samajh ke
sab mil gae miTTi mein bharam soch-samajh ke
har chand hai kanTon se bhari rah hamari
hum ne bhi uThae hain qadam soch-samajh ke
ye shai dil-e-KHuddar ki Thukrai hui hai
is samt uThe chashm-e-karam soch-samajh ke
ab larza-bar-andam hai kyon wahshat-e-qatil
karna tha mere sar ko qalam soch-samajh ke
miTta hai kahin naqsh-e-rifaqat dil-e-nadan
kha tark-e-ta'alluq ki qasam soch-samajh ke
is 'ahd-e-riya-kar se allah bachae
ab KHud se bhi milte hain to hum soch-samajh ke
uThta hai agar dard nikal paDti hain chiKHen
karte nahin izhaar-e-alam soch-samajh ke
har chand ki diwana sa lagta hai 'aziz' ek
karta hai magar she'r raqam soch-samajh ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.