unchaiyon se KHak mein utre hue bhi dekh
ūñchā.iyoñ se ḳhaak meñ utre hue bhī dekh
is ziist ke safar ke sabhī marhale bhī dekh
rauzan bujhā ke mere na hone kī de dalīl
parde haTā ke jhāñk mujhe din chaḌhe bhī dekh
is muḳhtasar sī raah meñ raḳht-e-safar na bāñdh
tujh se jo peshtar hue vo qāfile bhī dekh
siine kī barf aañkh ke paanī kā kar shumār
hoñToñ pe dab ke mar ga.e vo tazkire bhī dekh
jo yaar terī tarz-e-taġhāful meñ gum huiiñ
vo siskiyāñ bhī gin kabhī vo ratjage bhī dekh
hañs hañs ke tark-e-'ishq kī na dāstāñ sunā
ashkoñ ne jo likhe kabhī vo marsiye bhī dekh
unchaiyon se KHak mein utre hue bhi dekh
is zist ke safar ke sabhi marhale bhi dekh
rauzan bujha ke mere na hone ki de dalil
parde haTa ke jhank mujhe din chaDhe bhi dekh
is muKHtasar si rah mein raKHt-e-safar na bandh
tujh se jo peshtar hue wo qafile bhi dekh
sine ki barf aankh ke pani ka kar shumar
honTon pe dab ke mar gae wo tazkire bhi dekh
jo yar teri tarz-e-taghaful mein gum huin
wo siskiyan bhi gin kabhi wo ratjage bhi dekh
hans hans ke tark-e-'ishq ki na dastan suna
ashkon ne jo likhe kabhi wo marsiye bhi dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.