Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unche peDon ke niche hansi rah gai

Ashhad Karim Ulfat

unche peDon ke niche hansi rah gai

Ashhad Karim Ulfat

MORE BYAshhad Karim Ulfat

    ūñche peḌoñ ke nīche hañsī rah ga.ī

    kaalī parchhā.īñ meñ chāñdnī rah ga.ī

    surḳh gāloñ pe aañsū ke qatre gire

    phuul se hoñT par tishnagī rah ga.ī

    ai ḳhudā terī duniyā meñ sab kuchh to hai

    dil dhaḌaktā hai kyoñ kyā kamī rah ga.ī

    kis ne tasvīr khīñchī hai āvāz

    duur se boltī zindagī rah ga.ī

    sar-e-shām tezī se ruḳhsat huī

    raat ke haath meñ raushnī rah ga.ī

    gahrī ḳhāmoshiyoñ meñ shikan thī bahut

    niiñd āñkhoñ tale jāgtī rah ga.ī

    sard rātoñ peshāniyāñ chuum kar

    barf sub.hoñ meñ kapkapī rah ga.ī

    saare aurāq dīmak-zada the magar

    vaqt ke saaz par shā.irī rah ga.ī

    harf aayā nahīñ merī 'ulfat' pe kyoñ

    jāñ-ba-haq ho ga.e jāñ-kanī rah ga.ī

    unche peDon ke niche hansi rah gai

    kali parchhain mein chandni rah gai

    surKH galon pe aansu ke qatre gire

    phul se honT par tishnagi rah gai

    ai KHuda teri duniya mein sab kuchh to hai

    dil dhaDakta hai kyon kya kami rah gai

    kis ne taswir khinchi hai aawaz ki

    dur se bolti zindagi rah gai

    sar-e-sham tezi se ruKHsat hui

    raat ke hath mein raushni rah gai

    gahri KHamoshiyon mein shikan thi bahut

    nind aankhon tale jagti rah gai

    sard raaton ki peshaniyan chum kar

    barf si subhon mein kapkapi rah gai

    sare auraq dimak-zada the magar

    waqt ke saz par shairi rah gai

    harf aaya nahin meri 'ulfat' pe kyon

    jaan-ba-haq ho gae jaan-kani rah gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now