unT sab wapas phire aage koi sahra na tha
uuñT sab vāpas phire aage koī sahrā na thā
naqsh-e-pā hī naqsh-e-pā the duur tak rasta na thā
apne andar kitne mausam aur bāhar zardiyāñ
maiñ fasīl-e-jism meñ jab thā to yuuñ phīkā na thā
phir khajūroñ ke daraḳhtoñ meñ dhuāñ sā kis liye
aag jab taapī na thī aur qāfila Thahrā na thā
kāġhzī poshāk meñ vo ghar se jab bāhar gayā
āsmāñ par abr ban kar maiñ abhī barsā na thā
har taraf bikhrī huī reg-e-nadāmat thī 'nazar'
jism kā chaḌhtā huā dariyā magar utrā na thā
unT sab wapas phire aage koi sahra na tha
naqsh-e-pa hi naqsh-e-pa the dur tak rasta na tha
apne andar kitne mausam aur bahar zardiyan
main fasil-e-jism mein jab tha to yun phika na tha
phir khajuron ke daraKHton mein dhuan sa kis liye
aag jab tapi na thi aur qafila Thahra na tha
kaghzi poshak mein wo ghar se jab bahar gaya
aasman par abr ban kar main abhi barsa na tha
har taraf bikhri hui reg-e-nadamat thi 'nazar'
jism ka chaDhta hua dariya magar utra na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.