upar jo parind ga raha hai
uupar jo parind gā rahā hai
nīche kā mazāq uḌā rahā hai
miTTī kā banāyā naqsh us ne
ab naqsh kā kyā banā rahā hai
ghar bhar ko ye tāqcha mubārak
ḳhud chal ke charāġh aa rahā hai
ab duurī huzūrī kyā hai sāhab
bas jism ko jism khā rahā hai
ye vaqt kā ḳhaas aadmī thā
be-vaqt jo ghar ko jā rahā hai
ab maiñ nahīñ raah meñ to rasta
merī jagah ḳhaak uḌā rahā hai
avval vo ġhalat banāne vaalā
āḳhir ko ġhalat miTā rahā hai
vo qāfila aa sakā nahīñ kyuuñ
rasta bhī to vaañ se aa rahā hai
upar jo parind ga raha hai
niche ka mazaq uDa raha hai
miTTi ka banaya naqsh us ne
ab naqsh ka kya bana raha hai
ghar bhar ko ye taqcha mubarak
KHud chal ke charagh aa raha hai
ab duri huzuri kya hai sahab
bas jism ko jism kha raha hai
ye waqt ka KHas aadmi tha
be-waqt jo ghar ko ja raha hai
ab main nahin rah mein to rasta
meri jagah KHak uDa raha hai
awwal wo ghalat banane wala
aaKHir ko ghalat miTa raha hai
wo qafila aa saka nahin kyun
rasta bhi to wan se aa raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.