wade se mukar jaana dagha hai ki nahin hai
vā'de se mukar jaanā daġhā hai ki nahīñ hai
tum hī kaho kuchh is kī sazā hai ki nahīñ hai
kyā baat hai aa dhamke achānak sar-e-mahfil
andāz tumhārā ye bajā hai ki nahīñ hai
dekhā hai tumheñ chūmte ā.īne meñ ḳhud ko
duniyā meñ koī chiiz hayā hai ki nahīñ hai
kuchh sar-phire tūfān uThāte haiñ to is meñ
hākim kī bhī ḳhāmosh razā hai ki nahīñ hai
ġhairoñ ke gile-shikve na apnoñ ke masā.il
tanhā.ī meñ jiine kā mazā hai ki nahīñ hai
saa.il ne sadā dene meñ hī der lagā dī
ab dekhiye kuchh ghar meñ bachā hai ki nahīñ hai
suntā huuñ ki gardish meñ hai dīvānoñ kī fehrist
dekhūñ to mirā naam likhā hai ki nahīñ hai
phir 'nazr' parakh ġhaur se yūnus kā vaqū’a
machhlī ke shikam meñ bhī ḳhudā hai ki nahīñ hai
wa'de se mukar jaana dagha hai ki nahin hai
tum hi kaho kuchh is ki saza hai ki nahin hai
kya baat hai aa dhamke achanak sar-e-mahfil
andaz tumhaara ye baja hai ki nahin hai
dekha hai tumhein chumte aaine mein KHud ko
duniya mein koi chiz haya hai ki nahin hai
kuchh sar-phire tufan uThate hain to is mein
hakim ki bhi KHamosh raza hai ki nahin hai
ghairon ke gile-shikwe na apnon ke masail
tanhai mein jine ka maza hai ki nahin hai
sail ne sada dene mein hi der laga di
ab dekhiye kuchh ghar mein bacha hai ki nahin hai
sunta hun ki gardish mein hai diwanon ki fehrist
dekhun to mera nam likha hai ki nahin hai
phir 'nazr' parakh ghaur se yunus ka waqu’a
machhli ke shikam mein bhi KHuda hai ki nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.