Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waiz tu chhoD ab to adawat ka rasta

Sada Ambalvi

waiz tu chhoD ab to adawat ka rasta

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    vā'iz chhoḌ ab to 'adāvat rāsta

    maz.hab aaḌ meñ ye siyāsat rāsta

    mā'būd hai mirā bhī jo masjūd hai tirā

    maanā judā-judā hai 'ibādat rāsta

    dil meñ jo hai makīñ use kā'be meñ DhūñDh mat

    zāhid zarā badal ziyārat rāsta

    ham ko visāl-e-haq meñ gavāra nahīñ hai der

    lambā bahut hai shaiḳh sharī’at rāsta

    ḳhāliq se hai visāl vā'iz talab agar

    kar iḳhtiyār ḳhidmat-e-ḳhalqat rāsta

    tum ko ye rāh-e-zuhd mubārak ho zāhido

    raas aa gayā hai ham ko mohabbat rāsta

    har samt se sugandh aamad chaman meñ ho

    roke na koī dosto nik.hat rāsta

    masjid ko chhoḌ kar jo na aaya gayā kahīñ

    dekho dikhā rahā hai vo jannat rāsta

    kitnī jamī hai dhuul tirī ruuh par 'sadā'

    tai karte karte kokh se turbat rāsta

    wa'iz tu chhoD ab to 'adawat ka rasta

    mazhab ki aaD mein ye siyasat ka rasta

    ma'bud hai mera bhi jo masjud hai tera

    mana juda-juda hai 'ibaadat ka rasta

    dil mein jo hai makin use ka'be mein DhunDh mat

    zahid zara badal tu ziyarat ka rasta

    hum ko visal-e-haq mein gawara nahin hai der

    lamba bahut hai shaiKH shari’at ka rasta

    KHaliq se hai visal ki wa'iz talab agar

    kar iKHtiyar KHidmat-e-KHalqat ka rasta

    tum ko ye rah-e-zuhd mubarak ho zahido

    ras aa gaya hai hum ko mohabbat ka rasta

    har samt se sugandh ki aamad chaman mein ho

    roke na koi dosto nikhat ka rasta

    masjid ko chhoD kar jo na aaya gaya kahin

    dekho dikha raha hai wo jannat ka rasta

    kitni jami hai dhul teri ruh par 'sada'

    tai karte karte kokh se turbat ka rasta

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now