wada kabhi sachcha koi karta hi nahin hai
va.ada kabhī sachchā koī kartā hī nahīñ hai
andesha-e-fardā to guzartā hī nahīñ hai
dāman kī shikan duur se letī hai balā.eñ
bal yaar ke abrū kā utartā hī nahīñ hai
dil se to mire siine ke phir daaġh hī achchhe
kam-baḳht ubhāre se ubhartā hī nahīñ hai
sab bhuul ga.e us ko tire ahd-e-sitam meñ
ab shikva-e-gardūñ koī kartā hī nahīñ hai
jo jānte haiñ baḌh ke nasheman se qafas ko
par aisoñ ke sayyād katartā hī nahīñ hai
kyā chiiz hai ai bāda-kasho mausam-e-gul bhī
is daur meñ tauba koī kartā hī nahīñ hai
apne sitam-o-jaur use laakh sikhāo
darbāñ se tumhāre koī Dartā hī nahīñ hai
yuuñ pisne ko dil laakh piseñ barg-e-hinā par
vo haath kabhī ḳhuun meñ bhartā hī nahīñ hai
kyā aa ga.ī us meñ dil-e-betāb kī uljhan
gesū hai kisī kā ki sañvartā hī nahīñ hai
samjhā hai asar koī balā aah ko merī
Dartā hai vo gardūñ se utartā hī nahīñ hai
jab tak koī aa.e na lab-e-bām nikhar kar
rañg-e-shafaq-e-shām nikhartā hī nahīñ hai
dīvāna 'riyāz' auroñ se kyā baat karegā
māshūqoñ se to baat vo kartā hī nahīñ hai
wada kabhi sachcha koi karta hi nahin hai
andesha-e-farda to guzarta hi nahin hai
daman ki shikan dur se leti hai balaen
bal yar ke abru ka utarta hi nahin hai
dil se to mere sine ke phir dagh hi achchhe
kam-baKHt ubhaare se ubharta hi nahin hai
sab bhul gae us ko tere ahd-e-sitam mein
ab shikwa-e-gardun koi karta hi nahin hai
jo jaante hain baDh ke nasheman se qafas ko
par aison ke sayyaad katarta hi nahin hai
kya chiz hai ai baada-kasho mausam-e-gul bhi
is daur mein tauba koi karta hi nahin hai
apne sitam-o-jaur use lakh sikhao
darban se tumhaare koi Darta hi nahin hai
yun pisne ko dil lakh pisen barg-e-hina par
wo hath kabhi KHun mein bharta hi nahin hai
kya aa gai us mein dil-e-betab ki uljhan
gesu hai kisi ka ki sanwarta hi nahin hai
samjha hai asar koi bala aah ko meri
Darta hai wo gardun se utarta hi nahin hai
jab tak koi aae na lab-e-baam nikhar kar
rang-e-shafaq-e-sham nikharta hi nahin hai
diwana 'riyaz' auron se kya baat karega
mashuqon se to baat wo karta hi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.