wade diye the usne nishani to thi nahin
va.ade diye the us ne nishānī to thī nahīñ
yādoñ pe ham ne film banānī to thī nahīñ
bas dekhnā thā terī hathelī pe ek naam
ham ne tumhārī shaam churānī to thī nahīñ
kirdār kī aziyyateñ kuchh pūchhiye na bas
be-rabt thiiñ lakīreñ kahānī to thī nahīñ
har ek shaḳhs khojne meñ thā lagā huā
maiñ ne kisī ko baat batānī to thī nahīñ
kuchh vaqt bas guzārnā thā ghar ke sahn meñ
dīvār jo girā.ī uThānī to thī nahīñ
is silsile ko roknā bhī ab yahīñ pe thā
ye baat ham ne aage chalānī to thī nahīñ
majnūñ ke naam ek ilāqa kiyā raqam
sahrā kī ḳhaak shahr meñ laanī to thī nahīñ
shohrat kisī ke ġham kī huī hai atā 'zubair'
izzat ye shā.irī se kamānī to thī nahīñ
wade diye the us ne nishani to thi nahin
yaadon pe hum ne film banani to thi nahin
bas dekhna tha teri hatheli pe ek nam
hum ne tumhaari sham churani to thi nahin
kirdar ki aziyyaten kuchh puchhiye na bas
be-rabt thin lakiren kahani to thi nahin
har ek shaKHs khojne mein tha laga hua
main ne kisi ko baat batani to thi nahin
kuchh waqt bas guzarna tha ghar ke sahn mein
diwar jo girai uThani to thi nahin
is silsile ko rokna bhi ab yahin pe tha
ye baat hum ne aage chalani to thi nahin
majnun ke nam ek ilaqa kiya raqam
sahra ki KHak shahr mein lani to thi nahin
shohrat kisi ke gham ki hui hai ata 'zubair'
izzat ye shairi se kamani to thi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.