wade in hasinon ke wafa ho nahin sakte
va.ade in hasīnoñ ke vafā ho nahīñ sakte
patthar ke sanam haiñ ye ḳhudā ho nahīñ sakte
ik umr chubhe haiñ mirī āñkhoñ meñ jo aañsū
vo to mire zaḳhmoñ kī davā ho nahīñ sakte
fikr-e-ġham-e-duniyā hai kabhī fikr-e-ġham-e-dil
ehsān zamāne ke adā ho nahīñ sakte
ik shoḳh ne yuuñ dil ko dukhāyā hai ki yaaro
siine se mire haath judā ho nahīñ sakte
jazbāt jo ik umr se is dil meñ nihāñ haiñ
alfāz meñ ai yaar adā ho nahīñ sakte
jannat mile ab yā na mile lekin 'ayāz' ham
is but se kisī tarah judā ho nahīñ sakte
wade in hasinon ke wafa ho nahin sakte
patthar ke sanam hain ye KHuda ho nahin sakte
ek umr chubhe hain meri aankhon mein jo aansu
wo to mere zaKHmon ki dawa ho nahin sakte
fikr-e-gham-e-duniya hai kabhi fikr-e-gham-e-dil
ehsan zamane ke ada ho nahin sakte
ek shoKH ne yun dil ko dukhaya hai ki yaro
sine se mere hath juda ho nahin sakte
jazbaat jo ek umr se is dil mein nihan hain
alfaz mein ai yar ada ho nahin sakte
jannat mile ab ya na mile lekin 'ayaz' hum
is but se kisi tarah juda ho nahin sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.