wade mohabbaton ke kuchh aise nibhae hain
va.ade mohabbatoñ ke kuchh aise nibhā.e haiñ
ham qatl hone kūcha-e-qātil meñ aa.e haiñ
ḳhushbū tire visāl kī phailī hai chaar sū
kin kin jag.hoñ pe tū ne Thikāne banā.e haiñ
aañsū lahū meñ Duub ga.e to ḳhabar huī
tūfān dil ne dard ke kyā kyā uThā.e haiñ
terī mohabbatoñ ke nashe bhī ajiib haiñ
ham hosh meñ the phir bhī qadam laḌkhaḌā.e haiñ
pakke makāñ kī vahshatoñ ko dekh dekh kar
ab ham ne ḳhvāhishoñ ke gharauñde banā.e haiñ
ye zindagī kisī kī amānat hai dosto
gin ke batāo jitne bhī lamhe gañvā.e haiñ
shām-e-ġharībāñ tum ne to dekhī nahīñ kabhī
bas is ḳhayāl se hī tumheñ dukh sunā.e haiñ
wade mohabbaton ke kuchh aise nibhae hain
hum qatl hone kucha-e-qatil mein aae hain
KHushbu tere visal ki phaili hai chaar su
kin kin jaghon pe tu ne Thikane banae hain
aansu lahu mein Dub gae to KHabar hui
tufan dil ne dard ke kya kya uThae hain
teri mohabbaton ke nashe bhi ajib hain
hum hosh mein the phir bhi qadam laDkhaDae hain
pakke makan ki wahshaton ko dekh dekh kar
ab hum ne KHwahishon ke gharaunde banae hain
ye zindagi kisi ki amanat hai dosto
gin ke batao jitne bhi lamhe ganwae hain
sham-e-ghariban tum ne to dekhi nahin kabhi
bas is KHayal se hi tumhein dukh sunae hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 318)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.