wah kya KHub asiri meri taqdir mein hai
vaah kyā ḳhuub asīrī mirī taqdīr meñ hai
paañv zanjīr meñ dil zulf-e-girah-gīr meñ hai
ho ga.ī pusht-ba-dīvār use dekh ke ḳhalq
ai parī-zād vo hairat tirī tasvīr meñ hai
koshisheñ saiñkaḌoñ kiiñ ham ne asar kuchh na huā
shudanī naam usī kā hai vo taqdīr meñ hai
mere ghar aap qadam-ranja kareñ yā shah deñ
aap kī ḳhāk-e-qadam kā asar iksīr meñ hai
hai ye be-chain ki dam bhar nahīñ lailā ko qarār
kaisī jhankār ye majnūñ tirī zanjīr meñ hai
o kamāñ-dār nahīñ jaañ bhī hameñ tujh se aziiz
hai ta.ajjub ki tujhe kashmakash ik tiir meñ hai
maiñ bhī huuñ fikr meñ terī ki barābar kī hai choT
tū jo ai charḳh-e-sitamgar mirī tadbīr meñ hai
hai ḳhudā se mujhe firdaus ke milne kī umiid
baap aadam the mere ye mirī jāgīr meñ hai
kyoñ na bhāge ye balā-e-shab-e-hijr ai 'akbar'
asar-e-āh-e-sahar nāla-e-shabgīr meñ hai
wah kya KHub asiri meri taqdir mein hai
panw zanjir mein dil zulf-e-girah-gir mein hai
ho gai pusht-ba-diwar use dekh ke KHalq
ai pari-zad wo hairat teri taswir mein hai
koshishen sainkaDon kin hum ne asar kuchh na hua
shudani nam usi ka hai wo taqdir mein hai
mere ghar aap qadam-ranja karen ya shah den
aap ki KHak-e-qadam ka asar iksir mein hai
hai ye be-chain ki dam bhar nahin laila ko qarar
kaisi jhankar ye majnun teri zanjir mein hai
o kaman-dar nahin jaan bhi hamein tujh se aziz
hai tajjub ki tujhe kashmakash ek tir mein hai
main bhi hun fikr mein teri ki barabar ki hai choT
tu jo ai charKH-e-sitamgar meri tadbir mein hai
hai KHuda se mujhe firdaus ke milne ki umid
bap aadam the mere ye meri jagir mein hai
kyon na bhage ye bala-e-shab-e-hijr ai 'akbar'
asar-e-ah-e-sahar nala-e-shabgir mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.