wah kya KHub mah-laqa dekha
vaah kyā ḳhuub mah-laqā dekhā
jalva us kā har ek jā dekhā
vo ayaañ thā to shai nihāñ dekhī
jab huī shai ayaañ to kyā dekhā
vahdat-e-sarf aa.ī kasrat meñ
parda us par paḌā huā dekhā
dair meñ hai na vo haram meñ hai
lekin us ko har ek jā dekhā
sar kahā jis ne sar gayā us kā
ārifoñ ne ye aazmā dekhā
bahr kuuza meñ kab samātā hai
aql kā tang hausla dekhā
diid hai jis kī ain bīnā.ī
nahīñ dekhā use to kyā dekhā
ibn-e-mariyam se bhī to kuchh na huā
dard-e-dil haa.e lā-davā dekhā
bādshāhī meñ vo kahāñ hāsil
faqr meñ ham ne jo mazā dekhā
bulbul-e-ḳhush-navā ko ai 'ājiz'
gul-o-gulzār se judā dekhā
wah kya KHub mah-laqa dekha
jalwa us ka har ek ja dekha
wo ayan tha to shai nihan dekhi
jab hui shai ayan to kya dekha
wahdat-e-sarf aai kasrat mein
parda us par paDa hua dekha
dair mein hai na wo haram mein hai
lekin us ko har ek ja dekha
sar kaha jis ne sar gaya us ka
aarifon ne ye aazma dekha
bahr kuza mein kab samata hai
aql ka tang hausla dekha
did hai jis ki ain binai
nahin dekha use to kya dekha
ibn-e-mariyam se bhi to kuchh na hua
dard-e-dil hae la-dawa dekha
baadshahi mein wo kahan hasil
faqr mein hum ne jo maza dekha
bulbul-e-KHush-nawa ko ai 'ajiz'
gul-o-gulzar se juda dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.