waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab
vaa.iz milegī ḳhuld meñ kab is qadar sharāb
paanī ke badle piite haiñ ai be-ḳhabar sharāb
aamad meñ us kī mast hue kuchh ḳhabar nahīñ
saaqī hai kaun jaam kahāñ aur kidhar sharāb
us qulzum-e-gunāh meñ Duubā huā huuñ maiñ
jis meñ hai ek mauja-e-dāmān-e-tar sharāb
mastī meñ un ko lag ga.ī lau aur ġhair kī
denī shab-e-visāl na thī is qadar sharāb
iqrār-e-vasl aur vo mast-e-ġhurūr-e-nāz
aayā hai pī ke tū kahīñ ai nāma-bar sharāb
maiñ ek baar aañkh churā kar jo pī gayā
laayā na zaḳhm dhone ko phir chāragar sharāb
karnā thā mujh ko hiila shikast-e-ḳhumār kā
denī thī ḳhuub qabl-e-tulū-e-sahar sharāb
ruḳhsat kā hosh un ko na rahtā shab-e-visāl
kuchh bolte to ye ki dharī hai kidhar sharāb
'sālik' mile jo bazm meñ us kī to lutf hai
varna piyā hī karte haiñ ham apne ghar sharāb
waiz milegi KHuld mein kab is qadar sharab
pani ke badle pite hain ai be-KHabar sharab
aamad mein us ki mast hue kuchh KHabar nahin
saqi hai kaun jam kahan aur kidhar sharab
us qulzum-e-gunah mein Duba hua hun main
jis mein hai ek mauja-e-daman-e-tar sharab
masti mein un ko lag gai lau aur ghair ki
deni shab-e-visal na thi is qadar sharab
iqrar-e-wasl aur wo mast-e-ghurur-e-naz
aaya hai pi ke tu kahin ai nama-bar sharab
main ek bar aankh chura kar jo pi gaya
laya na zaKHm dhone ko phir chaaragar sharab
karna tha mujh ko hila shikast-e-KHumar ka
deni thi KHub qabl-e-tulu-e-sahar sharab
ruKHsat ka hosh un ko na rahta shab-e-visal
kuchh bolte to ye ki dhari hai kidhar sharab
'salik' mile jo bazm mein us ki to lutf hai
warna piya hi karte hain hum apne ghar sharab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.