waqia hun na hadisa hun main
vāqi.a huuñ na hādisa huuñ maiñ
tum jo samjho to mo.ajiza huuñ maiñ
maiñ huuñ bāzār-e-ishq kā yūsuf
aaj be-mol bik gayā huuñ maiñ
ḳhud ko DhūñDo mirī tajallī meñ
ahd-e-māzī kā ā.īna huuñ maiñ
qatra qatra bikher de mujh ko
aise tūfān meñ ghirā huuñ maiñ
rahnumā.ī kī kab rahī hājat
apnī manzil kā ḳhud pata huuñ maiñ
mujh ko dār-o-rasan se hai nisbat
ye bhī sach hai ki be-ḳhatā huuñ maiñ
waqia hun na hadisa hun main
tum jo samjho to moajiza hun main
main hun bazar-e-ishq ka yusuf
aaj be-mol bik gaya hun main
KHud ko DhunDo meri tajalli mein
ahd-e-mazi ka aaina hun main
qatra qatra bikher de mujh ko
aise tufan mein ghira hun main
rahnumai ki kab rahi hajat
apni manzil ka KHud pata hun main
mujh ko dar-o-rasan se hai nisbat
ye bhi sach hai ki be-KHata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.