waqif-e-raaz-e-bahr-e-gham dil hai
vāqif-e-rāz-e-bahr-e-ġham dil hai
mauj-e-tūfāñ kā naam sāhil hai
soz-e-paiham pe mutma.in dil hai
kaif-e-ġham zindagī kā hāsil hai
allah allah ye ishq kā in.aam
dard kī Tiis ishrat-e-dil hai
un ke jalve meñ kho gayā huuñ maiñ
mujh ko me.arāj-e-ishq hāsil hai
vo haiñ be-parda sāmne lekin
parda-e-shauq-e-dīd haa.il hai
bahr-e-nākāmī-e-mohabbat meñ
ubhre jo Duub kar vahī dil hai
tāb-e-nazzāra chāhiye 'māhir'
zarre zarre meñ husn-e-kāmil hai
waqif-e-raaz-e-bahr-e-gham dil hai
mauj-e-tufan ka nam sahil hai
soz-e-paiham pe mutmain dil hai
kaif-e-gham zindagi ka hasil hai
allah allah ye ishq ka inam
dard ki Tis ishrat-e-dil hai
un ke jalwe mein kho gaya hun main
mujh ko mearaj-e-ishq hasil hai
wo hain be-parda samne lekin
parda-e-shauq-e-did hail hai
bahr-e-nakaami-e-mohabbat mein
ubhre jo Dub kar wahi dil hai
tab-e-nazzara chahiye 'mahir'
zarre zarre mein husn-e-kaamil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.