waqif hain mere nala-e-dil ke asar se aap
waqif hain mere nala-e-dil ke asar se aap
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
vāqif haiñ mere nāla-e-dil ke asar se aap
bechain haiñ jo sadma-e-dard-e-jigar se aap
ye bhī ḳhabar hai dil pe guzartī hai mere kyā
jā to rahe haiñ phere hue muñh idhar se aap
ārām din ko aur na rātoñ ko chain hai
vāqif nahīñ haiñ kyā mirī shām-o-sahar se aap
laayā hai shauq jab mujhe qāsid ke saath saath
kyā pūchhte haiñ haal mirā nāma-bar se aap
us ne bahā diyā mire sabr-o-qarār ko
Darte raheñ ḳhudā ke liye chashm-e-tar se aap
tashrīh-e-hālat-e-dil-e-betāb kyoñ karūñ
vo pūchh leñge haal mirā nāma-bar se aap
'mas.ūd' dekh-bhāl ke sar chaḌhiye varna phir
gir jā.iyegā ek din un kī nazar se aap
waqif hain mere nala-e-dil ke asar se aap
bechain hain jo sadma-e-dard-e-jigar se aap
ye bhi KHabar hai dil pe guzarti hai mere kya
ja to rahe hain phere hue munh idhar se aap
aaram din ko aur na raaton ko chain hai
waqif nahin hain kya meri sham-o-sahar se aap
laya hai shauq jab mujhe qasid ke sath sath
kya puchhte hain haal mera nama-bar se aap
us ne baha diya mere sabr-o-qarar ko
Darte rahen KHuda ke liye chashm-e-tar se aap
tashrih-e-haalat-e-dil-e-betab kyon karun
wo puchh lenge haal mera nama-bar se aap
'masud' dekh-bhaal ke sar chaDhiye warna phir
gir jaiyega ek din un ki nazar se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.