waqif nahin hai koi hasinon ki chaal se
vāqif nahīñ hai koī hasīnoñ kī chaal se
dil kā shikār karte haiñ zulfoñ ke jaal se
nāseh ḳhudā ke vāste zikr-e-sanam na kar
hotā hai ranj aur kisī ke ḳhayāl se
aa.egā baaz tū na 'adū se mile baġhair
zāhir ye ho rahā hai tirī chāl-Dhāl se
us ke liye jahān meñ lutf-e-hayāt kyā
māyūs ho gayā ho jo tere visāl se
ab raaz ham se khiñchne kā mā'lūm ho gayā
karte ho ḳhush 'adū ko hamāre malāl se
ye bhī hai ik salīqa-e-inkār dekhnā
chīñ-bar-jabīñ vo hote haiñ mere savāl se
achchhā ye 'ishq achchhī ye dil-bastagī huī
aaya huuñ tang roz ke ranj-o-malāl se
yuuñ to bashar ke vāste iksīr hai sharāb
piinā hai is kā shart magar e'tidāl se
dil meñ agar vo ḳhush hoñ to hairat kā hai maqām
zāhir meñ jo ḳhafā haiñ mirī ‘arz-e-hāl se
kyā kyā guzar chukī hai mire dil pe hijr meñ
vāqif nahīñ haiñ aap abhī mere haal se
'hājir' ke mo'taqid hoñ ye ham ko yaqīn hai
jā kar mileñ gar aap bhī us bā-kamāl se
waqif nahin hai koi hasinon ki chaal se
dil ka shikar karte hain zulfon ke jal se
naseh KHuda ke waste zikr-e-sanam na kar
hota hai ranj aur kisi ke KHayal se
aaega baz tu na 'adu se mile baghair
zahir ye ho raha hai teri chaal-Dhaal se
us ke liye jahan mein lutf-e-hayat kya
mayus ho gaya ho jo tere visal se
ab raaz hum se khinchne ka ma'lum ho gaya
karte ho KHush 'adu ko hamare malal se
ye bhi hai ek saliqa-e-inkar dekhna
chin-bar-jabin wo hote hain mere sawal se
achchha ye 'ishq achchhi ye dil-bastagi hui
aaya hun tang roz ke ranj-o-malal se
yun to bashar ke waste iksir hai sharab
pina hai is ka shart magar e'tidal se
dil mein agar wo KHush hon to hairat ka hai maqam
zahir mein jo KHafa hain meri ‘arz-e-haal se
kya kya guzar chuki hai mere dil pe hijr mein
waqif nahin hain aap abhi mere haal se
'hajir' ke mo'taqid hon ye hum ko yaqin hai
ja kar milen gar aap bhi us ba-kamal se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.