war aur phir war kis ka aap ki talwar ka
vaar aur phir vaar kis kā aap kī talvār kā
ab rafū mushkil se hogā zaḳhm-e-dāman-dār kā
ḳhuun ronā be-gunāhī par tirī talvār kā
aur hañs denā hamāre zaḳhm-e-dāman-dār kā
kis qadar lapkā hai chashm-e-shauq ko dīdār kā
ban gayā tār-e-nazar āḳhir tasavvur yaar kā
sej par guzrī magar guzrī shab-e-vasl is tarah
chuTkiyāñ letā rahā dhaḌkā firāq-e-yār kā
rashk-e-dushman hī se bhaḌkī ātish-e-ishq-e-habīb
phuul kī vaq.at baḌhātā hai khaTaknā ḳhaar kā
jaao apnī raah lo qātil yūñhī hote haiñ kyā
aaj tak tum ko na aayā bāñdhnā talvār kā
dil hamārā aap hī baḌh kar nishāna ho gayā
tiir chalne bhī na paayā thā nigāh-e-yār kā
qatl-gah meñ kaam kar jaatā hai terā bāñkpan
vaar ho jaatā hai har andāz meñ talvār kā
baḌh gayā terī khachāvaT kā yahāñ tak to asar
mujh se ab khiñchtā hai saaya bhī tirī dīvār kā
dard-e-ulfat ko chhupāyā rāz-e-ulfat kī tarah
vaah kyā kahnā hamāre zaḳhm-e-dāman-dār kā
paas to aao tumheñ kyā khaa.e jaatā hai 'faroġh'
jān-e-āshiq vo to bhūkā hai faqat dīdār kā
war aur phir war kis ka aap ki talwar ka
ab rafu mushkil se hoga zaKHm-e-daman-dar ka
KHun rona be-gunahi par teri talwar ka
aur hans dena hamare zaKHm-e-daman-dar ka
kis qadar lapka hai chashm-e-shauq ko didar ka
ban gaya tar-e-nazar aaKHir tasawwur yar ka
sej par guzri magar guzri shab-e-wasl is tarah
chuTkiyan leta raha dhaDka firaq-e-yar ka
rashk-e-dushman hi se bhaDki aatish-e-ishq-e-habib
phul ki waqat baDhata hai khaTakna KHar ka
jao apni rah lo qatil yunhi hote hain kya
aaj tak tum ko na aaya bandhna talwar ka
dil hamara aap hi baDh kar nishana ho gaya
tir chalne bhi na paya tha nigah-e-yar ka
qatl-gah mein kaam kar jata hai tera bankpan
war ho jata hai har andaz mein talwar ka
baDh gaya teri khachawaT ka yahan tak to asar
mujh se ab khinchta hai saya bhi teri diwar ka
dard-e-ulfat ko chhupaya raaz-e-ulfat ki tarah
wah kya kahna hamare zaKHm-e-daman-dar ka
pas to aao tumhein kya khae jata hai 'farogh'
jaan-e-ashiq wo to bhuka hai faqat didar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.