war se hum dil-e-bedar tak aa pahunche hain
vaar se ham dil-e-bedār tak aa pahuñche haiñ
zindagī ke na.e me.aar tak aa pahuñche haiñ
ḳhush-bayāñ talḳhī-e-guftār tak aa pahuñche haiñ
sīna-e-gul se lab-e-ḳhār tak aa pahuñche haiñ
har qadam jalte haiñ jab ḳhud hī charāġh-e-manzil
log is garmī-e-raftār tak aa pahuñche haiñ
ahl-e-dil aaj hue azmat-e-dil ke qaa.il
be-jhijak anjuman-e-yār tak aa pahuñche haiñ
kyoñ subuk-sar hue jaate haiñ nazar meñ apnī
kis ke ehsān-e-girāñ-bār tak aa pahuñche haiñ
soz-e-dil bijliyāñ ban jaatā hai jis meñ Dhal kar
sāz-e-anfās ke us taar tak aa pahuñche haiñ
ġham-e-jānāñ ġham-e-daurāñ se badal jaa.e jahāñ
ham us ā.īna-e-kirdār tak aa pahuñche haiñ
ḳhair-maqdam ke fareboñ ko samajhne ke liye
aaj ik bazm-e-riyā-kār tak aa pahuñche haiñ
ḳhud jahāñ dār-o-rasan karte haiñ tāzīm-e-hayāt
ham usī rif.at-e-īsār tak aa pahuñche haiñ
kyoñ na bhaḌkā.ūñ 'shifā' azm ke sho.ale baḌh kar
marhale ab mire ash.ār tak aa pahuñche haiñ
war se hum dil-e-bedar tak aa pahunche hain
zindagi ke nae mear tak aa pahunche hain
KHush-bayan talKHi-e-guftar tak aa pahunche hain
sina-e-gul se lab-e-KHar tak aa pahunche hain
har qadam jalte hain jab KHud hi charagh-e-manzil
log is garmi-e-raftar tak aa pahunche hain
ahl-e-dil aaj hue azmat-e-dil ke qail
be-jhijak anjuman-e-yar tak aa pahunche hain
kyon subuk-sar hue jate hain nazar mein apni
kis ke ehsan-e-giran-bar tak aa pahunche hain
soz-e-dil bijliyan ban jata hai jis mein Dhal kar
saz-e-anfas ke us tar tak aa pahunche hain
gham-e-jaanan gham-e-dauran se badal jae jahan
hum us aaina-e-kirdar tak aa pahunche hain
KHair-maqdam ke farebon ko samajhne ke liye
aaj ek bazm-e-riya-kar tak aa pahunche hain
KHud jahan dar-o-rasan karte hain tazim-e-hayat
hum usi rifat-e-isar tak aa pahunche hain
kyon na bhaDkaun 'shifa' azm ke shoale baDh kar
marhale ab mere ashaar tak aa pahunche hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.