waraftagi-e-ishq hai ya be-KHudi hai ye
waraftagi-e-ishq hai ya be-KHudi hai ye
Shoaib Ahmad Merathi Nudrat
MORE BYShoaib Ahmad Merathi Nudrat
vāraftagī-e-ishq hai yā be-ḳhudī hai ye
mujh se jo pūchhiye to mirī zindagī hai ye
dil un ke ġham se ḳhush hai ajab dil-lagī hai ye
ya.anī ki dukh kā dukh hai hañsī kī hañsī hai ye
dil bhī mirā sharīk nahīñ bekasī hai ye
hai maut kis kā naam agar zindagī hai ye
kab chāhtā huuñ maiñ ki ḳhushī ho mujhe nasīb
maiñ bhī usī meñ ḳhush huuñ jo un kī ḳhushī hai ye
barbād ho gayā huuñ jahāñ luT gayā huuñ maiñ
koī mujhe batāo ki kis kī galī hai ye
shāyad ki aap yūñhī mirī baat pūchh leñ
samjhe bhī aap kuchh sabab-e-ḳhāmushī hai ye
mujh se nazar milī hai to mujh ko sañbhāliye
banda-navāz pahle-pahal maiñ ne pī hai ye
kyā dekhte ho hashr meñ ik dād-ḳhvāh ko
jo be-gunāh qatl huā thā vahī hai ye
haañ haañ satāo tum kisī īzā-pasand ko
har chand dushmanī hai magar dostī hai ye
merī taraf hai ab na tavajjoh na iltifāt
zālim ne zabt-e-ġham kī mujhe daad dī hai ye
vo kah rahe haiñ bazm meñ 'nudrat' ko dekh kar
ham is ko jānte haiñ baḌā fitratī hai ye
waraftagi-e-ishq hai ya be-KHudi hai ye
mujh se jo puchhiye to meri zindagi hai ye
dil un ke gham se KHush hai ajab dil-lagi hai ye
yani ki dukh ka dukh hai hansi ki hansi hai ye
dil bhi mera sharik nahin bekasi hai ye
hai maut kis ka nam agar zindagi hai ye
kab chahta hun main ki KHushi ho mujhe nasib
main bhi usi mein KHush hun jo un ki KHushi hai ye
barbaad ho gaya hun jahan luT gaya hun main
koi mujhe batao ki kis ki gali hai ye
shayad ki aap yunhi meri baat puchh len
samjhe bhi aap kuchh sabab-e-KHamushi hai ye
mujh se nazar mili hai to mujh ko sanbhaaliye
banda-nawaz pahle-pahal main ne pi hai ye
kya dekhte ho hashr mein ek dad-KHwah ko
jo be-gunah qatl hua tha wahi hai ye
han han satao tum kisi iza-pasand ko
har chand dushmani hai magar dosti hai ye
meri taraf hai ab na tawajjoh na iltifat
zalim ne zabt-e-gham ki mujhe dad di hai ye
wo kah rahe hain bazm mein 'nudrat' ko dekh kar
hum is ko jaante hain baDa fitrati hai ye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.