waraftagi ke sath muhaba bhi bahut hai
vāraftagī ke saath muhābā bhī bahut hai
iz.hār-e-ta.alluq bhī hai iḳhfā bhī bahut hai
jab niiñd ke surme ko taras jaatī haiñ āñkheñ
un rātoñ meñ ḳhvāboñ kī tamanna bhī bahut hai
vo ik varaq-e-sāda jo sauñp aa.e the tujh ko
us par tirī nam āñkhoñ kā imlā bhī bahut hai
āñkhoñ ke kaTore hoñ yā sāġhar hoñ laboñ ke
dil ḳhush ho to miTTī kā sakorā bhī bahut hai
inkār se zāhir hai ki samjhe to haiñ kuchh baat
jaanā ki ye jaanā to ye jaanā bhī bahut hai
vo nukta jise kahne kā yaarā nahīñ dil ko
us ke liye tahrīr kā parda bhī bahut hai
āvāzoñ ke amboh meñ ik lafz na paayā
yuuñ kahne ko ḳhush-vaqtī meñ paayā bhī bahut hai
kuchh un ko ta.ammul sā hai kuchh ham ko takalluf
ab ye bhī ta.alluq hai to itnā bhī bahut hai
jab shahr-e-tamannā meñ dar-o-bām hoñ ḳhāmosh
ehsās ko tanhā.ī kā sahrā bhī bahut hai
rū-gardāñ haiñ ab vo bhī to kyā shab na kaTegī
'tāriq' tumheñ to sub.h kā taarā bhī bahut hai
waraftagi ke sath muhaba bhi bahut hai
izhaar-e-talluq bhi hai iKHfa bhi bahut hai
jab nind ke surme ko taras jati hain aankhen
un raaton mein KHwabon ki tamanna bhi bahut hai
wo ek waraq-e-sada jo saunp aae the tujh ko
us par teri nam aankhon ka imla bhi bahut hai
aankhon ke kaTore hon ya saghar hon labon ke
dil KHush ho to miTTi ka sakora bhi bahut hai
inkar se zahir hai ki samjhe to hain kuchh baat
jaana ki ye jaana to ye jaana bhi bahut hai
wo nukta jise kahne ka yara nahin dil ko
us ke liye tahrir ka parda bhi bahut hai
aawazon ke amboh mein ek lafz na paya
yun kahne ko KHush-waqti mein paya bhi bahut hai
kuchh un ko tammul sa hai kuchh hum ko takalluf
ab ye bhi talluq hai to itna bhi bahut hai
jab shahr-e-tamanna mein dar-o-baam hon KHamosh
ehsas ko tanhai ka sahra bhi bahut hai
ru-gardan hain ab wo bhi to kya shab na kaTegi
'tariq' tumhein to subh ka tara bhi bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.