waraftagi si rahti thi sham-o-sahar mujhe
waraftagi si rahti thi sham-o-sahar mujhe
Basheer Ahmad Basheer
MORE BYBasheer Ahmad Basheer
vāraftagī sī rahtī thī shām-o-sahar mujhe
yaad aa.e kyā zamāne tumheñ dekh kar mujhe
guzrā jo us dayār se maiñ muddatoñ ke baa'd
hairat se dekhne lage dīvār-o-dar mujhe
ik hādisa hai rabt-e-dil-o-jāñ ke bāvajūd
merī ḳhabar hai un ko na un kī ḳhabar mujhe
ik din uThī na vo nigah-e-zīst-āfrīñ
din aa ga.e ye baiThe sar-e-rahguzar mujhe
kitne badal ga.e ho badaltī rutoñ ke saath
tum kar ke vaqf-e-mausam-e-chashmān-e-tar mujhe
ġhurbat kī shaam shām-e-lahū meñ Dubo gayā
milnā ba-chashm-e-nam tirā shām-e-safar mujhe
ik dhyān thā ki aayā mujhe tā-sahar 'bashīr'
ik iztirāb thā ki rahā rāt-bhar mujhe
waraftagi si rahti thi sham-o-sahar mujhe
yaad aae kya zamane tumhein dekh kar mujhe
guzra jo us dayar se main muddaton ke ba'd
hairat se dekhne lage diwar-o-dar mujhe
ek hadisa hai rabt-e-dil-o-jaan ke bawajud
meri KHabar hai un ko na un ki KHabar mujhe
ek din uThi na wo nigah-e-zist-afrin
din aa gae ye baiThe sar-e-rahguzar mujhe
kitne badal gae ho badalti ruton ke sath
tum kar ke waqf-e-mausam-e-chashman-e-tar mujhe
ghurbat ki sham sham-e-lahu mein Dubo gaya
milna ba-chashm-e-nam tera sham-e-safar mujhe
ek dhyan tha ki aaya mujhe ta-sahar 'bashir'
ek iztirab tha ki raha raat-bhar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.