wasta har pal nai uljhan se hai
vāsta har pal na.ī uljhan se hai
phir bhī ham ko pyaar is jīvan se hai
kis ġhalat-fahmī meñ ho tum rādhike
mel manmohan kā har gvālan se hai
dil diyā maano ki sab kuchh de diyā
aur kyā ummīd is nirdhan se hai
yaar us ko bhūlnā mumkin nahīñ
us kā rishta dil kī har dhaḌkan se hai
muaaf karnā aap haiñ jis par fidā
saarī raunaq us pe rañg roġhan se hai
jo sahī us ne dikhāyā bas vahī
kyoñ shikāyat aap ko darpan se hai
ye kahāñ mumkin ki likhnā chhoḌ duuñ
shā.erī kā shauq to bachpan se hai
wasta har pal nai uljhan se hai
phir bhi hum ko pyar is jiwan se hai
kis ghalat-fahmi mein ho tum radhike
mel manmohan ka har gwalan se hai
dil diya mano ki sab kuchh de diya
aur kya ummid is nirdhan se hai
yar us ko bhulna mumkin nahin
us ka rishta dil ki har dhaDkan se hai
muaf karna aap hain jis par fida
sari raunaq us pe rang roghan se hai
jo sahi us ne dikhaya bas wahi
kyon shikayat aap ko darpan se hai
ye kahan mumkin ki likhna chhoD dun
shaeri ka shauq to bachpan se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.