waste jitne the sab wahm-o-yaqin ne chhoDe
vāste jitne the sab vahm-o-yaqīñ ne chhoḌe
āsmāñ sar se haTā paañv zamīñ ne chhoḌe
kaun thā kyuuñ na rahā kaise kareñ us kā pata
apne dukh bhī to makāñ meñ na makīñ ne chhoḌe
ḳhilqat-e-shahr na maanī mirā mulhid honā
varna shoshe to bahut mufti-e-dīñ ne chhoḌe
ham na āġhāz ke mujrim the na anjām ke haiñ
haath meñ haath liye tum ne tumhīñ ne chhoḌe
ḳhvāb kā ek parinda bhī na ta.abīr huā
jis qadar tiir gumāñ meñ the yaqīñ ne chhoḌe
vasl ke saikḌoñ va.adoñ se bhī maddham na hue
dil pe jo naqsh tirī ek nahīñ ne chhoḌe
paañv jamte haiñ kahīñ par na 'nazar' ruktī hai
haath jab se mire ik dast-e-hasīñ ne chhoḌe
waste jitne the sab wahm-o-yaqin ne chhoDe
aasman sar se haTa panw zamin ne chhoDe
kaun tha kyun na raha kaise karen us ka pata
apne dukh bhi to makan mein na makin ne chhoDe
KHilqat-e-shahr na mani mera mulhid hona
warna shoshe to bahut mufti-e-din ne chhoDe
hum na aaghaz ke mujrim the na anjam ke hain
hath mein hath liye tum ne tumhin ne chhoDe
KHwab ka ek parinda bhi na tabir hua
jis qadar tir guman mein the yaqin ne chhoDe
wasl ke saikDon wadon se bhi maddham na hue
dil pe jo naqsh teri ek nahin ne chhoDe
panw jamte hain kahin par na 'nazar' rukti hai
hath jab se mere ek dast-e-hasin ne chhoDe
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 246)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.